Aa gayee manzil-e-dushwar bhi chalte chalte
thak gaya ab tou dil-e-zaar bhi chalte chalte
dil mein ab aur nayee tarz ke gham palte hain
peeche chor aaye tera pyar bhi chalte chalte
zikr kis ka ye howa bazm mein touba touba
tham gayee waqt ki raftar bhi chalte chalte
uski galyon ke chalo rasm-e-wafa ki khatir
choom aate dar-o-deewar hi chalta chalte
zad-e-rah ke liye kafi hai teri yaad mujhe
hota jaawe tera deedar bhi chalte chalte
zeezt ik pal ke sahare hi guzar jati magar
too ne dekha nahi ik bar bhi chalte chalte
No comments:
Post a Comment