Sunday, 20 July 2014

Poet Muslim Saleem

Bemar-e-hawas hai tera arman zada dil
.
Eman ko kya paye ga shaitan zada dil
.
Abro se jigar zakhmi to mizgaan zada dil
.
Dekha jo usay ho gaya tofan zada dil
.
Chalni hai fareb0n se rafeqon ki daghaa say
.
Main le ke kahan jaon yeh insan zada dil
.
Ky0n pyas bujhata hai tu apn0n ke laho say
.
Kehta hai muslman say muslman zada dil
.
Duniya ki muhabbat bhi ajab rog hai muslim
.
Jis dil ko bhi ab dekho hai sartaan zada dil

2 comments:

  1. BEEMAR-E-HAWAS HAI TIRAA ARMAN ZADA DIL
    EEMAN KO KYA PAAYEGA SHAITAN ZADA DIL
    ABROO SE JIGAR ZAKHMI TO MIZGAAN ZADA DIL
    DEKHA JO USAY, HO GAYA TOOFAN ZADA DIL
    CHHALNI HAI FAREBON SE, RAFEEQON KI DAGHAA SAY
    MAIN LE KE KAHAAN JAAOON YE INSAAN ZADA DIL
    KYOON PYAAS BUJHATAA HAI TU APNON KE LAHOO SAY?
    KEHTAA HAI MUSALMAAn SAY MUSALMAN ZADA DIL
    DUNIYAA KI MAHABBAT BHI AJAB ROG HAI MUSLIM
    JIS DIL KO BHI AB DEKHO, HAI SARTAAN ZADA DIL

    ReplyDelete