Thursday, 17 July 2014

Poet Saghar Siddiqui

Chak Daman Ko Jo Dekha To Mila Eid Ka Chand

Apni Tasveer Kahan Bhool Gaya Eid Ka Chand

In Ke Aabrooye Khameda Ki Tarah Teekha Hai

Apni Ankhon Mein Bari Dair Chupa Eid Ka Chand

Door Weeran Basere Mein Diya Ho Jaise

Gham Ki Deewar Se Dekha To Laga Eid Ka Chand

Le K Halat Ke Sahraon Mein Aa Jata Hai

Aaj Bhi Khild Ki Rangeen Fiza Eid Ka Chand

Chasham To Wasiyat Aflak Mein Khoi Saghar

Dil Ne Ek Aur Jaga Dhond Liya Eid Ka Chand...!

No comments:

Post a Comment