Sunday, 13 July 2014

Poet Saghar Hina

{Eid Mubarak}

Tumhari khamoshi ka sabab Janta hoon main
.
Rothe hoey ho tum Manta hoon main
.
Per hisaar-e-anna main qaid
Ab ki bar bhi
.
Meri yeh khuwaush hai
Ke har bar ki tarah
.
Tum mujhe manao Per yunhi dino ka shumaar karte karte
.
Tumhara intezaar karte karte
.
Calender ki taraf dekha Tu khayal aaya
.
Ab ki bar main Apni anna ko tor don ga
.
Muhubat ki kahani ko Naya aik mor do ga
.
Shayad isi tor ho jaey Meri sari kutaiyon ka tadraak
.
Lo aaj main tumhain kehta hoon
.
Jaan-e-jaan
Eid Mubarak

No comments:

Post a Comment