Dosron ke liye dharakta dil
.
De mujhay dil agar to aisaa dil
.
Laakh jalwa hain aur tanhaa dil
.
Tab hi rehta hai khoya khoya dil
.
Dekh kar us ko aise machlaa dil
.
Kya kahen kis tarah sanbhala dil
.
Yaar ki bazm main sanbhal kar ja
.
Kar na baithay koi tamashaa dil
.
Aab to muslim yeh baat maan hi le
.
Jism arzaan hai aur sastaa dil
No comments:
Post a Comment