Friday, 18 July 2014

Poet Shahzad Qais

Ghum k raale mein dahle dil ki dua eid ka chand
Chasme pur'naam ko hai rim'jhim ki saza eid ka chand
Pehle awezan raha gohar-e-misgaan pe hilal
Sabr ki dor kate chan se gira eid ka chand
Ghash mein daikha sar-e-dahlez koi zakhmi sar
Rang ki ooth mein badal ki chupa eid ka chand
Chand lamhe nazr ata hai chala jata hai
Kuch to hai jis pe hai ham sab se khafa eid ka chand
Eid hai tafle tasale mery khush khush bacho
Bachpane mein humaien bahta tha bara eid ka chand
Siskiyan hijar gazedon ki sawa hote gai
Jane kis dard ki hota hai dawa eid ka chand
Chand ko daikh k aik chand bohat yaad aya
Aab k aankho mein nahe dil mein chubha eid ka chand
Geele lakri sa sulagtay thay magar zindha thy
Neem-o-jaan dil ki jalata hai cheta eid ka chand
Daikh k mujh ko hansa main ne kuch aise daikha
Saal bhar sath mery rota raha eid ka chand
Neem bismil hain isi shehr me aise bi Qais
Jin k maar jane ki karta hai dua eid ka chand

Book Eid

No comments:

Post a Comment