Monday, 28 July 2014

Shahbaz Nayyar

Jaan jaan kaho gay naa, ashk ponch lo gay naa, eid par milo gay naa
.
En udaas aankh0 mein rang bhi bahro gay naa eid par milo gay naa
.
Waqt kis tarha guzra chand kis tarha utra furkaton k mosam mein
.
En sabhe sawal0n k tum jawab do gay naa, eid par milo gaye naa
.
Fasle jo aaye hain kitne ghum uthay hain ghair muskuray hain
.
Hath tham kar meray sab geelay suno gay naa, eid par milo gay naa
.
Tum to jante ho naa lufton ko rahte hai ehd-e-taza ki khuwaish
.
Phir yaqeen dilao tum mery he raho gay naa eid par milo gay naa
.
Tanha chand se mujh ko be'panah muhabbat hai haa milam ki hasrat hai
.
Chand raat ko Nayyar chand tum bano gay naa eid par milo gay naa

No comments:

Post a Comment