Monday, 21 July 2014

Poet Shahzad Nayyar

Geer jaye zamen par to sanbhalay nahe jatay
.
Bazar mein dukh dard uchalay nahe jatay
.
Jate nahe sahra0n ko ham ishq garift
.
Jab tak dil majn0 ki dua'aye lay nahe jatay
.
Ab mujh se en aankhon ki hifazat nahe hote
.
Ab mujh se teray khuwab sanbahalay nahe jatay
.
Aankhon se nikaltay ho magar dehyaan mein rakhna
.
Tum aise kabhe dil se nekalay nahe jatay
.
Aisa bhe nahe chor k jatay nahe khuwa'baan
.
Jatay hain magar loutnay walay nahe jatay
.
Jangal k yeh podeay hain inhin chor de nayyar
.
Ghum aap jawan hotay hain palaay nahe jatay

Book Chak Se Utray Waj0od

No comments:

Post a Comment