Ho Kar Ik Gaaon
Ki Larki
.
Is Bar Eid Par Apne Hont Lahu Say Laal Kare Gi
.
Shab E Firag Main
Wo Pagli Tanha Roi Hai
.
Gar Is Eid Pay Na
Mila To Sakht Malal Kare Gi
.
Apni Zulf E Paraishan Ko Sanwaray Gi Wo Meri Khatir
.
Eid K Din Wo
Singhar Bhi Kamaal Kare Gi
.
Kahe Gi Pagli Is
Eid Par To Wada
Tha Milne Ka
.
Phr Q Nahi Aaye
Bar Bar Yehi
Sawal Kare Gi
.
Wo Mere Baghair
Eid Ki Khushiyan
Kaise Manaye Gi
.
Wo To Khushiyon
Ki Jaga Ghamo Ka Istaqbaal Kare Gi
.
Log Khushiyan Manayain Gay Eid
K Din
.
Wo Pagli Ro Ro
K Apna Bura Haal
Kare Gi
.
Hum Pay Majboriyon
Ki Chader Charhi Hai "Jiger"
.
Gar Na Gaye Eid Par Wo Apni Hasraton
Ka Intiqaal Kare Gi...'
Poet Sarfarz Ahmed
No comments:
Post a Comment