Monday, 28 July 2014

Shahzad Qais

J0 bosa haath ka bhi eid per ata na kare
Kisi ka aesa sanam ho kbhi khuda na kare
Mere azezo Ye sar goshi chaand raat ki ha
Ke aaj shab k0i dushman ko bhi khafa na kare
Bhalay se krna bhalai koi kamal nhi
Bhala to w0h hai bure se bhi j0 bura na kre
Hilaal e eid Bta kya kbhi ye daikha hai
Ke hussn rakhta ho k0i magr jafa na kre
Na'jane chaandni mien kaun kaun daikhe usay
K0i to roko ke yu'n chaand ko taka na kre
Sharer bhai bhi ho skta hai sahaili ka
So apna aks sahaili k0 bhi diya na kare
Usay kaho ke ka'yi m0rr gh0rr krte hen
Naqab aurrh k bhi shehr mien chala na kare
Kamar mien m0ch na aa jaye naaz parwar ki
Hina lagi ho to paani bhi khud pabaa na kare
Ye aurrtain na karen zikr apne mard0n se
Hijaab utaar k eid un se bhi mila na kare
Usay kaho inhin bach0n ko chomte hen bare
So bosay eid pe bach0n k bhi liya na kare
Kisi k haath hamain QaiS Kal payam mila
Ham us k kuch nhi so mashwaray diya na kare

No comments:

Post a Comment