Sunday, 13 July 2014

Yaar Ko Ham Ne Jaa Bajaa

Yaar ko humne ja-ba-ja dekha
.
Kahin zahir kahin chupa dekha
.
Kahin mumkin hoa kahin wajib
.
Kahin fani kahin baqa dekha
.
Yaar ko humne ja-ba-ja dekha
.
Kahin zahir kahin chupa dekha
.
Kahien wo baadshaah-e-takht nasheen
.
Kahin kaasa liye gadaa dekha
.
Yaar ko humne ja-ba-ja dekha
.
Kahin zahir kahin chupa dekha
.
Kahin wo der libaas-e-mashokan
.
Bar-sare naaz aur aada dekha
.
Kahin zahir jahin chupa dekha
.
Yaar ko hum ne ja-ba-ja dekha
.
Kahin aashiq niyaz ki soorat
.
Seena Girya-o-dil jala dekha
.
Yaar ko humne ja-ba-ja dekha
.
Kahin zahir kahin chupa dekha

Poet Hazrat Shah Niaz

No comments:

Post a Comment