Tuesday, 8 July 2014

Ahmed Faraz

dil bahaltaa hai kahaaN anjum-o-maahtaab se bhii
ab to ham log gaye deedaa-e-bekhwaab se bhii

ro paRaa huN to koii baat hii aisii hogii
maiN ke waaqif thaa tere hijr ke aadaab se bhii

kuch to us aaNkh kaa shaivaa hai KHafaa ho jaanaa
aur kuch bhuul huii hai dil-e-betaab se bhii

ai samandar kii havaa teraa karam bhii maaluum
pyaas saahil kii to bujhtii nahiiN sailaab se bhii

kuch to us husn ko jaane hai zamanaa saara
aur kuch baat chalii hai mere ehbaab se bhii

dil kabhi gham k samndr ka shanawar tha Faraz
ab to khauf aata hai ik mouja e payaab se bhii


Ahmed Faraz


Dard Aashoob Page 40

No comments:

Post a Comment