Hoor duniya mein mili thi par meri mane ga kon
Jannat apne ghar mein hi thi par meri mane ga kon
Ghunche urte phir rahe the roshni mein abar ki
Chandni khushbu bhari thi par meri mane ga kon
Khush'numa qos e qaza thi jugnou,n k jism par
Titliyon mein roshni thi par meri mane ga kon
Raat ki barkha mein dhul k khil uthe lab k gulab
Barishon mein tishnagi thi par meri mane ga kon
Shehar-e- khamoshan mein nisf e shab ki sui'yan milte hi
Zindgi hi zindgi thi par meri mane ga kon
Aankhon deakha waqiya hai ik zidi dil'ruba
Is ghazal par mar miti thi par meri mane ga kon
Mulk mein woh aman tha k badshah k hukm par
Jurm ki ghanti baji thi par meri mane ga kon
Aaeine se jab zara sa door hat k ro para
Aks se bechari kali pe shabnami qatre na the
Woh to titli ro rahi thi par meri mane ga kon
Shak parast ehbab ko main Qais go yeh keh to doon
Yeh ghazal kuch aam thi par meri mane ga kon
Thursday, 3 July 2014
Hoor Duniya Mein Dekhi Thi
Woh to titli ro rahi thi par meri mane ga kon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment