aaj pahali baar main ne us bewafai ki
warna ab talak yun tha Khwahishon ki barish men
ya to toot kar roya ya ghazal sarai ki
taj diya tha kal jin ko ham ne teri chahat men
aaj un se majaburan tazaa aashanai ki
ho chala tha jab mujh ko ikhtilaaf apane se
tu ne kis ghari zaalim meri hamnawai ki
tark kar cukay qasid koo e namuradaa ko
kon ab kabhr laway sher e aashnai ki
tanz-o-taana-o-tohamat sab hunar hain naseh ke
aap se koi pooche ham ne kya buraii ki
phir qafas men shor utha qaidiyon ka aur sayyad
dekhana ura dega phir khabar rihai ki
dukh huwa jab us dar per kal "Faraz" ko dekha
lakh eayeb thay us main khoo na thi gadai ki
Nabeena Shehr main aaina page 48
No comments:
Post a Comment