Khuwab bhi daikh magar suraat-e-tabeer mein aa
.
Waqat k poche sawaalaat ki zanjeer mein aa
.
Bin dawa-e-ajiz ki dhalte howe taseer mein aa
.
Ishq k nor mein lipti howi tasveer mein aa
.
Aye ghazl ban k siyah-e-khyalaat meri
.
Fikar ki dobe howi tahreer mein aa
.
Ojh to tujh ko suraiya pe bhi le jaye agar
.
Butt girate howe naaraa-e- takber mein aa
.
Aie insan k hathon mein to dozakh thare
.
Surkh janat hawa gar dekhni, kashmir mein aa
.
Tujh pe maar maar k mujhe khud ko amar karna hai
.
Roj-e-la'faane ki surat dhale akseer mein aa
.
Dard insan se khali ko hedayaat na milay
.
Parh k quran ahdees ki tafseer mein aa
.
To jo jalawat liye aye kabhi khalawat mein meri
.
Hijar abaad ki pehle howi jageer mein aa
Sunday, 6 July 2014
Poet Ibn-e-Mufti:
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment