Sunday, 6 July 2014

Poet Zahid Shamsi:;:

Meray ghar raat karna chahtay hain
.
Sitaare baat karna chahtay hain
.
Mein apne sath wo sab kar raha h0n
.
K jo halaat karna chahtay hain
.
Tumhare sath izhare muhabbat
.
Meray jazbaat karna chahtay hain
.
Sar sehraa tumhare ghum k musam
.
Mujhe barsaat karna chahtay hain
.
Mein kab ma'soor hona chahta h0n
.
Teray naghmaat karna chahtay hain
.
K meray sath meray dost zahid
.
Yaqenan hath karna chahtay hain

No comments:

Post a Comment