Sunday, 6 July 2014

Poet Saleem Figar:;:;:;:;););

Ham par yeh ahsan utarta rehta hai
.
Hijraat ka saman utarta rehta hai
.
Har aik sans se is ki khushbo ate hai
.
Dil mein wo heraan utarta rehta hai
.
Jane kesi khush fahmi mein dahrti par
.
Falak se be'insan utarta rehta hai
.
Ham he toleay jate hain me'yaar0n par
.
Ham par he me'zaan utarta rehta hai
.
Suna hai mein ne dil ho yah ho khali ghar
.
Es mein phir sehtaan utarta rehta hai
.
Dil ki khaar mein roshni rehti hai jab se
.
Es mein tera dehyaan utarta rehta hai
.
Rag rag mein umedein behti rehti hain
.
Jenay ka imkaan utarta rehta hai
.
Lafz bi kesy bechaye gay phir taghyani se
.
Dil mein jab tofan utarta rehta hai
.
Car hunar bhi sochne ka khmeza hai
.
Jewan bhar tawaan utarta rehta hai

No comments:

Post a Comment