Tum apne jhot ko mana boht hawa de ga
.
Mera sakot teiray andar se doba de ga
.
Yeh tera shak tujhy andar se khokhla kar k
.
Taira wajod tairi soch ko mita de ga
.
Mein shakh-e-sabaz wo mujh par gulab ki manind
.
Bikhar wo jaye ga mujh ko agar saza de ga
.
Yun baat kar kay nazar aaey kuch saleqa bhi
.
Sunay ga jo bhi nigah sy tujhe gira de ga
.
Jo zabt us ko ata hy kahan naseb mujhe
.
Wo muskura ky mairi aankh ko rula de ga
.
Yeh kis muqam pe ly aai meri khush'fehmi
.
Guman yaqen ki had tak hy wo sada de ga
.
Wo bad nasibi ka aalam hy zeb kya kijiay
.
Bujha chragh bhi lagta hy ghar jala de ga
Sunday, 6 July 2014
Poet Jahan Zeb Khan:;:;:;:;:;);):):):):):)
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment