Monday, 29 September 2014

Adeem Hashmi

Dil ajab gumbad k jis main ik kabutar bhi nahin
.
Itna viran to murdaron ka muqaddar bhi nahin
.
Dabati jati hain miti main badan ki kashtiyan
.
Dekhane main ye zamin koi samandar bhi nahin
.
Jitne hangame the sukhi tahaniyon se jhar gaye
.
Per par phal bhi nahin angan main pathar bhi nahin
.
Khushk tahani par parinda hai ki pata hai Adeem
.
Ashiyana bhi nahin jis ka koi par bhi nahin
.
Jitni pyari hain meri dharati jo zanjirain Adeem
.
Itana pyara to kisi dulhan ko zevar bhi nahin

No comments:

Post a Comment