Dil ne vafa ke naam par kaar-e-jafa nahin kiya
.
Khud ko halaak kar liya Khud ko fida nahin kiya
.
Kaise kahen ke tujh ko bhi hamase hai vasta koi
.
Tu ne to ham se aaj tak koi gila nahin kiya
.
Tu bhi kisi ke baab men ahad-shikan ho Gaaliban
.
Main ne bhi ek shaKhs ka qarz ada nahin kiya
.
Jo bhi ho tum pe mautariz us ko yahi javaab do
.
Aap bahot sharif hain aap ne kya nahin kiya
.
Jis ko bhi sheKh-o-shaah ne hukm-e-Khuda diya qaraar
.
Ham ne nahin kiya vo kaam haan baa-Khuda nahin kiya
.
Nisbat-e-ilm hai bahot haakim-e-vaqt ko aziz
.
Us ne to kaar-e-jehl bhi be-ulaama nahin kiya
No comments:
Post a Comment