Monday, 29 September 2014

Ahmad Faraz

Dlat-e-Dard Ko Duniya Se Chupa Kar Rakhna
.
Aankh Me Boond Na Ho Dil Me Samandar Rakhna
.
Kal Gaye Guzre Zamano Ka Khayal Aye Ga
.
Aaj Itna Bhi Na Raaton Ko Munawar Rakhna
.
Apni Aashifta Mizaji Pe Hansi Aati Hai
.
Dushmani Sang Se Or Kaanch Ka Pekar Rakhna
.
Zikr Us ka He Sahi Bazm Me Bethe Ho Faraz
.
Dard Kesa He Uthe Hath Na Dil Par Rakhna

Book Chand Or Mein

No comments:

Post a Comment