Tuesday, 30 September 2014

Amin Shad Ghulam Rasool

Tum se pehle main is tarha to na tha
.
Yuh bhi ho ga mujhe pata to na tha
.
Le uray tum he mera sara shabaab
.
Warna aisa main bad'numa to na tha
.
Tum ne mujh ko mila diya mujh se
.
Main jo khud se kabhi mila to na tha
.
Wo jo ik jaan'nishar tha tera
.
Main he tha koi dosra to na tha
.
Roth jane ka aik bahana tha
.
Wo tera uzr-e-barmila to na tha
.
Tum kisi ko bhi chahte haq tha
.
Mera tum se koi gila to na tha
.
Waqt ka tha kiya dhara sara
.
Shaad aisa bhi bewafa to na tha

No comments:

Post a Comment