Monday, 22 September 2014

Peerzada Ashar

Ishq jena azaab kar de ga
.
Tera khana kharab kar de ga
.
Teri qurbat ka aik bhi lamha
.
Jism-o-jaan ko gulaab kar de ga
.
Tujh ko zaray se main nikalon ga
.
To mujhe aftaab kar de ga
.
Phir wo teri judai ka lamha
.
Sare manzar kharaab kar de ga
.
Main ne gin kar tujhe nahi chaha
.
Bol kaise hisaab kar de ga
.
Teh'her kuch dard or bhi likh loun
.
Tu to pori kitaab kar de ga

No comments:

Post a Comment