Koi bhi jab na shareek-e-gham-e-tanhaai hua
.
Khud hi mein apney tamashey ka tamashaai hua
.
Apney khwab0n ko sajta raha mein palk0n par
.
Yahi andaaz mira baaes-e-ruswaai hua
.
Ye kahan chorh gaye sarey shanaasa mujh ko
.
Ye kahan aa kay mein khud apni shanasaai hua
.
Zindagi mein bhi to dil rakhta h0n aur0n ki tarah
.
Kya ghalat tha jo tira mein bhi tamanaai hua
.
Tu na samjhe ga kabhi karb samandar us ka
.
Wo jazeera jo tirey wasl se sehraai hua
No comments:
Post a Comment