Rog aisy bhi gham-e-yaar say lag jatay hain
.
Daar say uth'tay hain to deewar say lag jatay hain
.
Ishq akhaz mein halki se khalish rakhta hai
.
Baad mein sankar0n aazaar se lag jatay hain
.
Pehlay pehlay hawas ik adh dukan kholti hai
.
Phir to bazaar k bazaar say lag jatay hain
.
Be'basi bhi kabhi qurbat ka sabab banti hai
.
Ro na paaey to galay yaar say lag jatay hain
.
Katrenay ghum ki jo galiy0n mein uri phirte hain
.
Ghar mein le aao to anbaar say lag jatay hain
.
Dhaag daman k h0 dil k ho k chehray k faraz
.
Kuch nishan umer ki raftaar say lag jatay hain
No comments:
Post a Comment