Pyaar mein pagal ho jatay hain log mukamal ho jatay hain
.
Tum ankhon par hath na rakho hum khud he ojhal ho jatay hain
.
Tanhai parr jharti hai jab khuwab muataal ho jatay hain
.
Jab bhi suraj dekhne nikloun sar par badal ho jatay hain
.
Mera is mein dosh nahi hai log hi pagal ho jatay hain
.
Dard-e-panire bonay walo ghar bhi jangal ho jatay hain
No comments:
Post a Comment