Sunday, 28 September 2014

Arif Imam

Sidha sahda zara alag sa hai mera lehja zara alag sa hai
.
Jashn-e-didar ka tabarak hai haan yeh mehva zara alag sa hai
.
Dekhta h0n dar0d parhta h0n is ka chehra zara alag sa hai
.
Pee raha h0n wohi purani sharaab bas piyala zara alag sa hai
.
Jo ke roti bhagovi pani mein yeh nawala zara alag sa hai
.
Rehm he rehm hai karm he karm mera m0la zara alag sa hai
.
Baat karta nahi kisi se koi yeh muhala zara alag sa hai
.
Qabar meri bhi sab k jasi hai is pe saya zara alag sa hai
.
Likhta rehta hai sirf ik he baat likhne wala zara alag sa hai
.
Ik gali ka faqeer hai yeh faqeer is ka rutba zara alag sa hai

No comments:

Post a Comment