Tuesday, 30 September 2014

Ahmad Raza Raja

Dherkan k zeer-o-baam ko sanwara tha or bas
.
Kaghaz pe dil ka bohj utara tha or bas
.
Bas itna janta hon k awaz us ki thi
.
Itna pata hai us ne pukara tha or bas
.
Kar-e-jan0n mein faeeda tha ishq ka magr
.
Kar-e-jahan mein sirf khasara tha or bas
.
Duniya ki fikar the na zamane ka khof tha
.
Ham ko fakat khyal tumhara tha or bas
.
Logo ne us ko meri muhabbat samjh liya
.
Ahmad wo mujh ko jaan se pyara tha or bas

No comments:

Post a Comment