Ham to jaise yahaan ke the hi nahin
.
Dhup the saayaban ke the hi nahin
.
Raste karavan ke saath rahe
.
Marhale kaaravan ke the hi nahin
.
Aab hamara makaan kis ka hai
.
Ham to apane makan ke the hi nahin
.
In ko aaNdhi men hi bikharana tha
.
Baal-o-par yahan ke the hi nahin
.
Us gali ne ye sun ke sabr kiya
.
Jaane vaale yahaan ke the hi nahin
No comments:
Post a Comment