Ye haqeqat hai aur baat nahin
.
Ek se banti kayenaat nahin
.
Zinda kirdar zindagi ka ho0n
.
Mujh mein afsanwi sifaat nahin
.
Aayena s0chta hai hairat sey
.
Mujh se karta hai koi baat nahin
.
Karch hoti guftagu mein zubaan
.
Is mein paise ki koi baat nahin
.
Ranj-o-ghum aah per zubaan boli
.
Ibn-e-adam hoon main nbaat nahin
.
Kaise ilzam dein hawao0n ko
.
Aag lagwana in ke haat nahin
.
Jete ji maar gaya hoon main javeed
.
Zinda aawaz apne sath nahin
No comments:
Post a Comment