Meri jazbaat ke pho0l0n ko jalaya na kar0
.
Bijliyan tanz ki tum dil pe giraya na kar0
.
Tum ko be'parda sar-e-bazm chale aate ho
.
Chahne wal0n se nazren bhi churaya na kar0
.
Ham hain gustaakh wahi karte hain jo kehta hai dil
.
Mehfil0n main hamain tum apni bulaya na kar0
.
Bad dua kar de agar ham to zamin kanp uthe
.
Ham hain darwaish mainsh ham ko sataya na kar0
.
Ham to pehle hi se hain sokhta jaan nadaan0
.
Dil jale logon ko tum aur jalaya na kar0
.
Wada kar lete ho phir us se mukar jate ho
.
Apne talib ki talab aur barhaya na kar0
No comments:
Post a Comment