Tuesday, 9 September 2014

Hashmat Ali Ansari

Bhigi hui zulf0n ko ghumaya jo jhatak kar

Barish se use abr ne di daad matak kar

Kis darja nasheeli hai teri nargisi aankhen

Lagta hai k aaya hun main khum'khana gatak kar

Kitne ke kaleje pe churi chalti hai har gaam

Guzre hain jidhar se bhi wo zulf0n ko jhatak kar

Chehre pe khuli zulen sar-e-raah jo bikhren

Manzil ka pata bhol gaya raahi bhatak kar

Sharma gaye taaref mere munh se suni jab

Gaal0n pe khilin kalyaan kayi un ke chatak kar

Maikhane men jab shaikh ji pehchane gaye to

Kahne lage a nikla idhar raah bhatak kar

Kar de na kahin rad teri arzi wo hashmat

Zulf0n hi men rah jaye na to us ki atak kar

No comments:

Post a Comment