Monday, 29 September 2014

Amir Elahi Amer Malik

Kisay sunaon gham-e zeest kaa fasana main
.
Keh razdan to koi aj tak mila hi nahin
.
Karon main raah ki dushwari ka gila kis say
.
Main wo musaafir-e kam- kosh keh chala hi nahin
.
Kabhi milo to main sab kuch hi tum sey keh daaloon
.
Keh roz roz to milnay ka silsila hi nahin
.
Tera suraagh nahin phir bhi dhoond loon ga tujhay
.
Bajuz Khuda kay mera ki aasra hi nahin
.
Hazar baataen hain jo mujh peh log kartay hain
.
Magar yeh dil haiy keh pathar kabhi jala hi nahin
.
Aa phir aj aaina hi daikh amar
.
Keh sach to aaj tak tu nay kabhi suna hi nahin

No comments:

Post a Comment