Friday, 12 September 2014

Irfan Sultani

Jab kinar0n se wo niklaa darya
.
Log kahne lagay darya darya
.
Bheegi aankh0n se nikal aaya h0n
.
Main ne kya khuwaab mein dekha darya
.
Teray chehray se chamakta panii
.
Teri aankh0n sa wo gahraa darya
.
Dekh k piyaas bujha letay ham
.
Kaash wo raste mein parta darya
.
Bad'baan apny hawa apnh hai
.
Apni kashti meri apna darya
.
Dukh kanar0n ka batata us ko
.
Kaash ruk kar meri sunta darya
.
Tum agr rasta daitay us ko
.
Bastiya uoh na dobata darya

No comments:

Post a Comment