Magar aab istakhara kar raha h0n
Main apni aankh se qatraa gira kar
Gahtaon ko ishaara kar raha h0n
Mujhy yuhi khyal aya k aye dil
Tujhe kitna gawara kar raha h0n
Kabhi jo dard sa bakhsha tha tum ne
Abhi tak is ka chaaraa kar raha h0n
Faqt dil he nahi barbaad main to
Badan sare ka sara kar raha h0n
Koi bhi hal nahi hai tarighi ka
So0 aanso ko sitaara kar raha h0n
Tamana, yaas, hasraat na'tawani
Miyaasr hain guzara kar raha h0n
Hawaon ne bataya mujh ko sayyed
Main khud ko paarh paarh kar raha h0n
No comments:
Post a Comment