Azaan-e-rubi say jaam chalta hai
.
Hashar tak ehtamam chalta hai
.
Jaam se pehle jaam chalaktey hain
.
Jaam k baad jaam chalta hai
.
Jaan choti na jaan jaanay se
.
Jisam say intaqaam chalta hai
.
Jab talak aam log marte hain
.
Tab talak qatl-e-aam chalta hai
.
Mard-e-darvaish agar teher jaaye
.
Us ki janib maqaam chalta hai
.
Heerniyan us pe naaz karti hain
.
Aaah kya khush haraam chalta hai
.
Jora bejore ho to pehir aksar
.
Umar bhar ihtataam chalta hai
.
Duniya mein aur kuch chale na chale
.
Hussan ka ihtaraam chalta hai
.
Hussan dharkan hai raaz-e-hasti ki
.
Ye chale to nezaam chalta hai
.
Ek haseena nay shair likhe hain
.
Qais ka sirf naam chalta hai
No comments:
Post a Comment