Monday, 30 March 2015

Basheer Badr


Dil par chhaya raha umas ki tarah

Eik lamha tha sau baras ki tarah

Wo mohabbat ki tarh pighle gi

Main bhi mar jaun ga hawas ki tarah

Raat sar par liye huye jangal mein

Raaste ki kharaab bas ki tarah

Aatma be'zabaan maina hai

Aur maati ka tan qafas ki tarah

Khan'qahon mein khaak urti hai

Urdu waalon key kampus ki tarah

Maut ki wadiyon se guzrun ga

Main paharon ki eik bus ki tarah

No comments:

Post a Comment