Na hasrat-e-wisel ke koi,, na tohmat hai judai ki
Kaha tak le gai,, ham ko tamana aashnaee ki
Jafa pisha sahi dunya magar,, ye dil to apna tha
Hamare apne dil ne bhe to,, ham se bewafaee ki
Muhabbat k taqadus ne,, bechaya apne daman ko
Zamana ye samjh baitha,, k ham ne paa'rashaee ki
Ajab ihsaas tha koi,, jo lafzon tak nahi aaya
Na is ne ham se kuch pocha,, na ham ne lab kashaee ki
Ye dard-e-ashnai hai,, taman-e-shanashee
.
Kahani kya kahey,, aa saad apne be'nawaaee ki
Book Tamana ashnaee Ki
No comments:
Post a Comment