Thursday, 19 March 2015

Zubyr Qasiar


Aik shahks hai abad mery khawab-e-nagar mein

Dekhti hai jhalak us ke mujhe shams-o-qamar mein

Aik rang-e-tabsum hai k mehki hain fazaien

Aik khuwab ke khushbo hai k rahte hai safar mein

Aik raat meri aur bhe kat jaye sakon se

A jaye tera khuwab agr pichley pehar mein

Aik shahks muhabbat mein ujalon ke tarha hai

Mushkil mujhe dar'paish nahe koi safar mein

Kuch lafz miley aur k tareef teri ho

Kuch aur azafa ho mery fan mein hunar mein

Aik shahks ke hasrat bhe mujhe khaye howe hai

Aik yaad ke kasrat hai mery shaam-o-shair mein

Ye khuwab hai yah khuwab ke tabeer hai qaisar

Aik rang ke tasveer jo rahte hai nazar mein

No comments:

Post a Comment