Ishq jeena azaab kar de ga,, tera khana kharab kar de ga
Teri qurbat ka aik bhi lamha,, jism-o-jaan ko gulaab kar de ga
Tujh ko zarey se men nekalo ga,, to mujhe afatab kar de ga
Phir wo teri judai ka lamha,, sare manzar kharab kar de ga
Main ne gin kar tujhe nahi chaha,, bol ! kaise hisaab kar de ga
Thehr kuch dard aur bhi likh lon,, tu to pori kitaab kar de ga
No comments:
Post a Comment