Doosron ko hamari sazayen na de
Chandni raat ko bad'duaen na de
Phool se ashiqi ka hunar seekh Ie
Titliyan khud ruken gi sadayen na de
Sab gunahon ka iqrar karne Iagen
Is qadar khubsoorat sazaaen na de
Motiyon ko chupa sepiyon ki tarah
Bewafaon ko apni wafaayen na de
Main bikhar jaunga Ansuon ki tarah
Is qadar pyar se bad'duaen na de
No comments:
Post a Comment