Hale dil jab sunaney lagtey hain
Aashk aankhon mein ane lagtey hain
Tum na kehna kisi se dil ke baat
Sab fasane banane lagtey hain
Aaj bole hain jo mery haq mein
Yaar mery purane lagtey hain
Yaad karna kisi ko kab mushkil
Bholne mein zamane lagtey hain
Dekh kar dunya ke ajeeb-o-rawish
Zakhm aankhon mein ane lagtey hain
Umar k sath sath he bachaye
Zeest ham ko sekhaney lagtey hain
Faisla aik nazar mein hota hai
Ishq mein kab zamane latey hain
Log dastar phenk kar zaabi
Apne sar ko bachane lagtey hain
No comments:
Post a Comment