Monday, 9 March 2015

Zubyr Qaisar


Jaam k pall bhar jo hawaon mein diye jalte hain

Bujh bhi jaye to duaaon mein diye jalte hain

Ham jo nekle hain andharon ko jalane k liye

Is liye apne wafaon mein diye jalte hain

Wo chamkta hai to kar daita hai sina roshan

Chand chehra hai adaon mein diye jalte hain

Moj mein ate hain jab us ka badan aur awaz

Sur bikharte hain fizaon mein diye jalte hain

Jab pukaron main use zulmat-e-shab mein qaisar

Meri aankhon mein sadaon mein diye jalte hain

No comments:

Post a Comment