Raat ke aankh se main akhri taraa le kar
Aaj nikla hon aajab dil mein irada le kar
Tum ne to apne liye dhondhe raheyn lekin
Main kahan jaao yeh jalta howa sina le kar
Hale dil tum ko sunane main nahe a sakta
Main to bistar se bhe uth'ta hon saharaa le kar
Hasrat-o-yaas mein dobe howi aankhon k siwa
Aur teri bazam se jaye ga koi kya le kar
Main siyah bakht hon chehre se magr tum ne bhe
Kon sa teer chalaya rukh-e-zaiba le kar
Khaak hone se nahi ko bechane wala
Mujh ko jana he pare ga yeh janaza le kar
Jism mein jaan zara bhe nahi aur aise mein
Raat utre hai rawish kesi tamana le kar
Book Jab Shaam Utarte Hai
No comments:
Post a Comment