Sisakte Aab mein kis ki sada hai
Koi dariya ki tah mein ro raha hai
Sawere meri in aankhon ne dekha
Khuda charon taraf bikhra para hai
Sameto aur seene mein chupa lo
Ye sanata bahut phaila hua hai
Haqeqat surkh machli janti hai
Samundar kitna burha dewta hai
Mujhe in neeli ankho ne bataya
Tumhara naam pani pe likha hai
No comments:
Post a Comment