Chaand ka tukra na sooraj ka nu'mainda hun
Main na is baat pe naazan hun na sharminda hun
Dafn ho jaye ga jo saikron man miti mein
Ghaliban main bhi usi shahr ka bashinda hun
Zandagi tu mujhe pahchaan na payi lekin
Log kahte hain ke main tera numainda hun
Phool si qabr sey aksar ye sada aati hai
Koi kahta hai bachaa 10main abhi zinda hun
Tan pe kapre hain qadamat ki alaamat aur main
Sar barahna yahan aajane pe sharminda hun
Waqai is tarah mai ne kabhi socha hi nahin
Kaun hai apna yahaan kis ke liye zinda huN
No comments:
Post a Comment