Udaas ankhon se ansu nahin nikalte hein
Ye motiyon ki tarah seepiyon mein palte hein
Ghane dhuen mein farishte bhi aankh malte hein
Tamam raat khajuron ke per jalte hein
Main shahnshah nahin raste ka pathar hun
Yahan sawar bhi pedal utar ke chalte hein
Unhe kabhi na batana main un ki aankhen hun
Wo log phool samajh kar mujhe masalte hein
Kai sitaron ko main jaanta hun bachpan se
Kahin bhi jaun mire saath saath chalte hein
Ye ik per hai aa is se mil ke ro Iein ham
Yahan se tere mere raaste badalte hein
No comments:
Post a Comment