Kahan rakho gay tum itne dukhon ko
Suno beh jane do in aanson ko
Palatna ho ga yeh malum kab tha
Wagarna yaad rakhte raston ko
Wohe be'chain rakha hai aur akhir
Wohe taskeen deta hai dilon ko
Bicharne ke qasam khae hai us ne
Mubarik ho hamare aanson ko
Hamare baad bhe zinda hon lekin
Kabhe tum yaad karna un dinon ko
Rawish ghar par kahan milta hai koi
Chalon sarkon pe dhondhen doston ko
Book Jab Shaam Utarte Hai
No comments:
Post a Comment