Chal musaafir batiyan jalne lagin
Aasmani ghantiyan bajne lagin
Khil raha hai shaam ka kaala gulab
Zard sookhi patiyan jharne lagin
Surkh, dhaani, sabz, neeli, doodhiya
Shaam aayi batiyan jalne lagin
Din key saare kapre dheele ho gaye
Raat ki sab choliyan kasne lagin
Raat ek talaab key aaine mein
Jhilmilaati kashtiyan chaIne lagin
Doob jayen ge sabhi darya pahaar
Chandni ki nadiyan charhne lagin
Band kar lo dar dareche khirkiyan
Phir hawa mein seetiyan bajne lagin
Jamunon key baagh par chai ghata
Oori oori larkiyan hansne lagin
No comments:
Post a Comment