Monday, 9 March 2015

Tariq Ayub Khan


Ishq ke aik he kahni hai,, dil lagana hai chot khani hai

Bad tery pata chala mujh ko,, meri aankhon mein kitna pani hai

Aaj phir us ne roth jana hai,, aj phir ro k shab batane hai

Hanste hanste chupa k ashkon ko,, baat dil ke magr suna'ne hai

Kitna acha hai mar'mitey tum par,, zindagi yun bhi ane jani hai

Roz marta hon aik hasrat mein,, mery kis kaam ke jawani hai

Kiyun na gham ko aziz-o-jaan rakho,, ik sitamgar ke yeh nishani hai

No comments:

Post a Comment